Thursday, August 18, 2011

sare khawab kya sirf apne hai???????





aankho me ab jage se sapne hai
ab sare khawab kya sirf apne hai
aahtein ne teri dil ko jaise chhuayaa hai
kya aisa tumhe bhi kuchh hua hai
wo thaharti najre jo jhum si rahi hai
tere hoto pe khud ko jaise urel si rahi hai
fir se wahi bekrari hai ehsas fir se jawan hai
aankhe khuli hai par nindo ka basera bahut dur hai
siskiyo ne fir se apni raftar badhayi hai
tumse milne ki tarap ne bechainiya fir se badhayi hai
teri khule balo se aati khoosboo ne fir se ham pe madhosi si chhayi hai
fir se aapke jhakti najro ne hame us chandni raato me chakor jaisa hone ka ehsas karaya hain
jaha chand to hai par milo dur
fir se akela hone ka ehsas aaya hai
khoya hu fir se purane bato me
khushboo hai jo teri fir se hai mere saso me
yado ki jor se baris ho rahi hai aur fir se hame akela hi bhigna par raha hai
ye raate bhi ajeeb si ho gayi hai har baar apne sath tujhe hi lati hai
hame kabhi apne sath tere pas nahi le jati hai
jindgi tere saye me chal pari hai
apna dil bhi ab tere dhadkan ke sath hi dharak rahi hai
ye ehsas hame puri raat akele hi tarpayegi
jaha sare khawab sirf mere apne hai


1 comment: