Thursday, August 18, 2011

sare khawab kya sirf apne hai???????





aankho me ab jage se sapne hai
ab sare khawab kya sirf apne hai
aahtein ne teri dil ko jaise chhuayaa hai
kya aisa tumhe bhi kuchh hua hai
wo thaharti najre jo jhum si rahi hai
tere hoto pe khud ko jaise urel si rahi hai
fir se wahi bekrari hai ehsas fir se jawan hai
aankhe khuli hai par nindo ka basera bahut dur hai
siskiyo ne fir se apni raftar badhayi hai
tumse milne ki tarap ne bechainiya fir se badhayi hai
teri khule balo se aati khoosboo ne fir se ham pe madhosi si chhayi hai
fir se aapke jhakti najro ne hame us chandni raato me chakor jaisa hone ka ehsas karaya hain
jaha chand to hai par milo dur
fir se akela hone ka ehsas aaya hai
khoya hu fir se purane bato me
khushboo hai jo teri fir se hai mere saso me
yado ki jor se baris ho rahi hai aur fir se hame akela hi bhigna par raha hai
ye raate bhi ajeeb si ho gayi hai har baar apne sath tujhe hi lati hai
hame kabhi apne sath tere pas nahi le jati hai
jindgi tere saye me chal pari hai
apna dil bhi ab tere dhadkan ke sath hi dharak rahi hai
ye ehsas hame puri raat akele hi tarpayegi
jaha sare khawab sirf mere apne hai


Monday, August 15, 2011

10th August ,the smiling face

                      
mehraban mera rab aaj hua hai
hame har khudai aaj mila hai
taswiro me chhupe ehsaso ko aaj hamne paya hai
uske jhuke huye najron ko hamne churaya hai
hamri thaharti aankho ne aaj mukam sa paya hai
yaar ki aagosh se hamne lipte huye paya hai
kal khwab jo dekha hai aaj pura wo ho paya hai
teri muskarahat ne solo ko bhir se bharkaya hai
es barsat ne ek bar fir pyas bujhaya hai
tere hoto ki pankhuriyo ne fir se mujhe muskaraya hai
teri aankho ne fir se hame dhadkaya hai
aaj fir se har khusi jo thi parayi hamne paya hai
kal raat ki karwate hamne abhi palat paya hai
tere sparsh ne hame fir se paglaya hai
tujhe sabke samne chhup chhup ke dekhne me
hamne ek aur jindgi paya hai
teri dupatte me hamne fir se apne aap ko chhupaya hai
tere halke bhige balo me hamne khud ko dubo paya hai
haan teri aankho se hamne apne aap ko churaya hai
teri jid ko fir se hamne sir pe baithaya hai
us gubbare me hamne apne dil ko de paya hai
tere jane ke khayal ne fir se hame tarpaya hai
har wo ek kadam jo hamne tere sath badhaya hai
dilo ke bich badhe faslo ko usne ghataya hai
par kya sachai wahi hai jo hamne paya hai
ya badlo me chipa wahi saya fir se chhaya hai
ek baat jo hamare hotho tak aaya hai
bas hamne use aankho se hi chhalkaya hai
in bariso me niro ko kya hamne hi bahaya hai
ya fir se tumne bhi use chhupaya hai
fir se kambakhat baris ne tera hi sath nibhaya hai
tere hatho ko hamne khud se chhuraya hai
tere bhagte kadam ko hamne fir se rok na paya hai
fir se hamne apne aap ko rok paya hai
es bikharti khusboo ko fir se na hamne tham paya hai

*********************************************************

"""ab bas bhi karo ye adhurapan hai aur pure to tum bhi nahi ho"""" 

          "A lot of thaks to U " 




Tuesday, August 9, 2011

abhi bhi pyas si hai

subah hai par raat si hai es talab ko bhi pyas si hai
khilti kaliyo me bhi ab talas si hai
thake thake se nikle suraj ko us ghata ki talas si hai
jeet hai har bhi hai par bisat ki kami ki ehsas si hai
subah hai par raat si hai
jindgi fir bhi khubsyrat si hai..................
raat ka ghungat utra hai aur din ki doli bhi saji hai par fir bhi us talab ko pyas si hai
subah hai par raat si hai

mom bhi chhupi chatan si hai dard ko jhele muskan si hai

aadhe fasane me chhupi aadhi hakikat badlo me chhupi aasman si hai
jindgi fir bhi khubsurat si hai..............

khud ko na dekh paye ab aisi dhundali darpan si hai
sare rup ab tukre se hai subah hai par raat si hai
sare khawab ab pighli si hai ab to jingi bhi dur si hai
jindgi fir bhi khubsurat si hai................
ehsasto hai par viraniyo ki jeet to hai

Thursday, July 28, 2011

yado ka marham

ab tor do un wado ko jo tumne kabhi naa nibha sake

ab hone do un irado ko jo hamne na sambhal sake

hai abhi bhi unki yad yaha jab ki tumne chhor diye bas ek bas aawaj yaha

honi thi agar ye rate andheri kyo chandni ne bhari thi raushani si thori

agar hona tha viraniyo ka basera fir kyo hua unka basera

ab yado ko unki yado ki kasam nahi

kas koi aisa malham jise bhi es malham ki talas nahi

rate jagi si thi par unme kinhi ka basera to na tha

ab in basrero me khalipan kyo jab ki inhe unka ehsas hai

ab tor do un wado ko jo tumne kabhi naa nibha sake






par ruko haan ruko inhe kyo chhor rakha hai ab ye hamara nahi to mera kyo

sirf intejar hi sahi to ye basera kyon

haan sirf intejar hi nahi par sirf intejar hi kyon kuchh aur bhi nahi

jabki..........................
tum ho yahi par ehsas nahi

haan haan ab sirf intejar nahi

jabki Dil-e-veeran hai

teri yaad hai tanhai hai

zindagi derd ki banhon ki simmat aai hai




aisa ujra hai umeedon ka chaman teray baad
dil ki baharon pe khazan chai hai
zindagi derd ki banhon ki simmat aai hai

jab ki Dil-e-veeran hai
teri yaad hai aur fir se wahi tanhai hai
ye sahi hai es jamane me koi tujh sa nahi
tere jane se mere jan pe ab ban aayi hai
chaa gaye andhera charo or
aur ful bhi murjhai hai
jingi ab dard hai aur teri hi tanhai hai


fir bhi......
ab tor do un wado ko jo tumne kabhi naa nibha sake

ab hone do un irado ko jo hamne na sambhal sake
haan haan ye intejar hi nahi par intejar hi kyon kuchh aur bhi nahi



****************